Ghar Ghar Me Ravan
Kis Ravan Ki Katu Baahen Kis lanka ko aag lagau,
Ghar Ghar Ravan Pag Pag Lanka...Itne Ram Kaha Se Lau
Kis Ravan Ki Katu Baahen Kis lanka ko aag lagau,
Ghar Ghar Ravan Pag Pag Lanka...Itne Ram Kaha Se Lau
Ant me wo do log milte hai,
Jo ek dusre ko dhundh hi nhi rahe the!!
Phoolon se vaasta mitaenge,
Ped kanton ke hum lagaayenge.
Khul ke rone lagoge tum jani,
Hum tumhe is kadar hansaenge.
Meri burai ke akhbar baant rahe ho,
Mere saath rah kar mujhe hi kaat rahe ho,
Hum wahan thuk kar nikle hai,
Jahan tum baith kar chaat rahe ho!!
Bhavnaon mein hai kamnaon mein hai.
Tera chehra meri kalpanaon mein hai.
Ek din swapn sakar ho jayega
Tu nirantar meri prarthanaon mein hai.
Apne chehre se jo zahir hai chhupaayein kaise,
Teri marzi ke mutabiq nazar aayein kaise.
Ghar sajaane ka tassavwur toh bahut baad ka hai,
Pehle yeh tay ho ki is ghar ko bachayein kaise.
Laakh talwarein badhi aati hon gardan ki taraf,
Sar jhukana nahi aata toh jhukayein kaise.
Qahqaha aankh ka bartav badal deta hai,
Hasne wale tujhe aansoo nazar aayein kaise.
Phool se rang juda hona koi khel nahi,
Apni mitti ko kahin chhod ke jayein kaise.
Koi apni hi nazar se toh hamein dekhega,
Ek qatre ko samundar nazar aayein kaise.
Jis ne danista kiya ho nazar-andaaz 'Waseem',
Us ko kuch yaad dilaayein toh dilaayein kaise.
Zindagi me har shakhs ek kachha ghada hai,
Jo waqt ke thapedon se pakne chala hai.
Log kehte hain ki kismat se sab milta hai yahan,
Magar har ek mukam ke piche ek tapasya ka silsila hai.
Mit jaate hain kai rang is duniya ke rang me,
Par jo khud ko tarashe wahi asli khuda hai.
Chale the akela main manzil ki ore,
Mila raste mein ek naya sa mod.
Zamana yeh kehta hai ruk jao yahi par,
Mgar mere pairon mein lagi hai ab dor.
Na thakna hai mujhko na rukhna hai abhi,
Safar ki khushi mein hai jeene ka taur.
Bichhadne ke baad yeh jo doori badh gayi hai,
Har ek shaam pe ab bebasi chha gayi hai.
Tujhe paane ki zid mein sab kuch haar aaye,
Magar ab lagta hai yeh zindagi ąŖąŖ saza ban gayi hai.
Safar lamba sahi par hum chalte rahenge,
Teri yaadon ke sahare hi ab jeete rahenge.
Usoolon pe jahan aanch aaye takrana zaroori hai,
Jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaroori hai.
Nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjhaye,
Kahan se bach ke chalna hai kahan jana zaroori hai.
Thake haare parinde jab basere ke liye laute,
Saleeqamand shakho ka lachak jana zaroori hai.
Bahut bebaak aankhon me talluq tik nahi pata,
Mohabbat me kashish rakhne ko sharmana zaroori hai.
Saleeqa hi nahi shayad use mehsoos karne ka,
Jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai.
Mere hothon pe apni pyaas rakh do aur fir socho,
Ki is ke baad bhi duniya me kuch pana zaroori hai.